|
Yishune apnaa khoon bahaake mujhe bachaa liyaa,
|
|
Fir kyo main gaau na gun usike, mujhe bachaa liyaa.
|
|
1
|
Main jab gunaahomein padaa huaa thaa, Yishu aa gayaa.
|
|
Usi ke maare jaanese main, jeevan bhi paa gayaa, (2)
|
|
Is liye gaaungaa gun usake, mujhe bachaa liyaa.
|
|
2
|
Mere gunaahokaa boz uthaakar, kyaa kyaa na usne sahaa,
|
|
Mere gunaaho ko maaf karaane, khoon bhi usakaa bahaa, (2)
|
|
Kitanaa anokhaa hai pyaaraa prabhukaa, mujhe bachaa liyaa.
|
|
3
|
Sevaa karege pyaare prabhuki, jaisaki, usane kahaa,
|
|
Mar bhi mitenge pyaare prabhumein, jaisaaki usane sahaa, (2)
|
|
Hardam ham gaayenge geet usike, hame bachaa liyaa.
|
|
Tujhko bachaa liyaa, sabko bachaa liyaa.
|